‘You Were Too Good For This World’, Sushant’s Co-Star and Friend Pens An Emotional Letter

It has been nearly 2 months since the untimely passing of Sushant Singh Rajput, and his friends and colleagues are still remembering the late actor with their fond memories of him.

Ram N Diwakar – who acted with Singh on his critically acclaimed multi-starrer, Sonchiriya has also penned-down a beautiful note, remembering the mesmerising on-screen hero.

Sharing a candid video of the actor being goofy in front of the camera, Ram shared an old video of Sushant along with a heartfelt remembrance in the caption.

View this post on Instagram

Sushant k guzarne k baad mein thoda band hogya. Iss beech uske bohot se fans k messages aaye, jo behadd niraash aur dukhi hain. Jo uske liye din raat dua karte hain k use insaaf mile. Meri samajh se pare hai k kaise ek ache khaase insan ko logon ne "pagal" "depressed" "bipolar" karaar kar diya. Kya inn logon ko bhagwan se darr nahi lgta, kya inhe ye nahi pata k inko bhi ekdin marna hai? Ye sab cheezen dekh k sushant ki kahi baat baar baar yaad aati hai k " jahan mein hoon, wahan aane k liye kabhi tarassna mat, ye jagah door se achi lgti hai, par yahan hone k baad pata chalta hai k yahan rehna kitna mushkil hai". Meri uparwale se dua hai k jis jis ne uske baare mein ghatiya kahaniyaan banaii hain, uske baare mein anaab shanaab bola hai, bhagwan unhe kabhi maaf na kare. Main ek chota actor hoon, jise Sushant ne apne bhai ki tarah treat kiya, kabhi baaki stars ki tarah star hone ka ahsaas nahi hone diye. Har time hasna khelna, mazak karna… Aaj uss "normal se bhi zada normal" aadmi ko logon ne apne faidey k liye "mentally ill" saabit kr diya. Ye videos sushant k unn fans k liye hain jinhe yakeen hai k Sushant na toh mansik rogi tha, na hi suicidal. Main bohot sunn chuka hoon, lekin ab ye sab bardasht se bahar ho chuka hai. Maine ye videos jab banaii thi tab socha tak nhi tha k inhe daalte waqt mera dil ro rha hoga. Ye videos maine bhot dino se dekhi bhi nhi thi, kyunki inhe dekh k uski shetaaniyaan yaad aati hain. Lekin kal maine inhe apni hard disk se nikaala sirf unn fans k liye jo sushant ki videos maang rhe the. Bohot si yaaden hain, bohot se kisse hain, bohot si baaten hai Sushant ki jo ab main aap logon se share karunga. Phir duniya ko hum batayenge k pagal kaun hai… WO ya ye hasta khelta insan. He was "larger than life" he was "more normal than any of the people wanting to prove him mad" ! Satyamev Jayate. #justiceforsushantsinghrajput #SushantsinghRajput #Ssr #Missyousushant

A post shared by Ram N. Diwakar (@ram_naresh_diwakar) on

Here’s what he wrote on the beautiful note:

“Dil karta hai teri Iss cuteness pe jaan de doon! Jab jab ye video dekhta hoon aisa lgta hai tune hasi mazak mein future mein hone wali baaten bol di. Shayad tab tune socha bhi nahi hoga… k teri life mein aisa bhi ganda mod aayega. I love you bhai and I’m sorry mein tere liye kuch nhi kar saka. Mein ye bhi jaanta hoon tujhe kitna bura lgta hoga k jin logon k beech tu rehta tha, jinke sath tune filmein ki…. koi tere liye nahi ladaa. Kher… shayad you were too good for this world. Yaad hai tune kaha tha ” hum Rajput kabhi kisi k aage jhukte nahi” :)”

He further continued:



“Bhai you died a hero. Tere liye kitne fans lade hain, roye hain, kitno ne toh jaan bhi de di… tu normal aadmi nhi hai. Tu marke bhi kraanti le aaya. Tune achche achchon ki satta hila di aur mujhe ummeed hai ye kranti ki aag bhujegi nhi. Rozana itne log mujhe message karte hain k unhe yakeen hi nahi hota tu iss duniya mein nahi hai, unhe aisa lgta hai tu abhi bhi zinda hai, main unn sabko kehta hoon… jis aadmi k baare mein duniya baat kr rhi hai, jisne duniya hila di… wo marr nahi skta. Jaanta hoon tu bass physically yahan nhi hai lekin spiritually tu duniya pe chaa chuka hai. 🙌🏻 Love you and i know tu ye sab dekh rha hoga aur apni shetaani bhari smile dekhe mujhe keh rha hoga “chal pagal”! ♥️ #MissyouSushant #JusticeforSushantSinghRajput #Ssr #SushantSinghRajput #WhokilledSushant #legendsneverdie”

Here’s the original post:

https://www.instagram.com/p/CDjAWOOpPwP/

Clearly Sushant left a positive and lasting mark on everyone he worked and associated with during his time here on earth.

He will certainly continue to be missed.

Shares